jumerat ya jume ko nikah kaisa ha

Assalam alykum qareen kiram ! Abhi kuch waqt guzra mujhse kisi ne kaha ki usse kisi shaks ne kaha ha ki jume ya jumerat ko nikah bewao ka hota ha ye galat ha iski koi bhi daleel kisi bhi kitab me nahi milti dosto hazrat adam ka nikah hazrat hawwa se jumerat ke di hua aur hazrat ibraheem ka hazrat sara se hazrat yusuf a.s. ka hazrat zulekha se hazrat suleman as.ka nikah bilqis se aur hazrat musa as.ka nikah safura se
Jumerat ke din hua huzur akram s.a.w ka nikah hazrat khadeeja se aur hazrat ayesha rz.se jume ke din hua ( tafseer e naeemi para 11 page no.184 az sayyadna ahmad yar khan naeemi ashrafi ra. )
Sayyadna shekh abdul qadir jeelani ra.  Farmate ha ki jumerat aur jume ko nikah karna mustahab ha ( guniyatuttalibeen safa 150)
Jume ke din ki jane wali neki ka sawab 70 guna milta ha aur gunah ka ajr 70 guna se zyada milta ha ( mirat ul manajih sharah mishkat ul masabih jild 2 page no.323 )
Dosto nikah karna sunnat ha huzur ne farmaya nikah meri sunnat ha ( ibne maza)
Dosto sunnat ha yani nek kam ha aur agar ham nikah jume ke din karenge to kitna sawab hoga
Dulha ko bhi dulhan ko bhi aur jo shareek ha unhe bhi to dosto meri itni si bat thi ki ye kahna sarasar galat ha ki jume ke din bewao ka nikah hota ha allah hame nek amal ki toufeek ata farmaye ammen wa akhirud dawana anil hamdulillahi rabbil alameen

Comments